Sunday, December 21, 2008

Urdu Romantic Poetry - Urdu Love Poetry - Romance Poetry

Urdu Romantic Poetry - Urdu Love Poetry - Romance Poetry

khusi meri cheen lee usne,
muskurane bhula diya..
gam de diya mujhe,
zindgi bhar rulane ke liye........

kaise jeete wo bichad ke log
ye humne jana hai..
kaise zinda hai wo log ye hamne jana hai..
hamne to apne katil ko dekha tak nhi........

koi kisi se juda ho khuda na kare,
kisi ka pyar bewafa wo khuda na kare,
zuda ho jaye is jism se jaan
yaar ko khuda kabhi zuda na kare...

Thursday, November 20, 2008

Romantic Urdu Poetry - Urdu Romantic Poetry - Romantic Urdu Poems

Romantic Urdu Poetry - Urdu Romantic Poetry - Romantic Urdu Poems

(1)Ishq ki gehriyon ko tum kya samjhoge ye zalim
ye wo dariya hai jisme sahil bhi doob jate hai.

(2)Mehbooba:-Tumne kaha tha hum milege har gali har kuche har,chaurahe pe
mere janaje mein sab the magar tum na the.

Aashique:-Haan mane kaha tha hum milege har gali har kuche har chaurahe pe palat ke
dekha to hota janeja tere jannaje ke peche mera janaja tha.

(3)Rote hue aankho mei bhi intezar hota hai,na chahte hue bhi kissise pyar hota gai,
kyu dekhti hai aankhe vo sapne, jinke tutne par bhi unke sach hone ka intezar hota
hai.

Monday, May 19, 2008

Urdu Poetry - Urdu Romantic Poetry - Urdu Love Poem

Urdu Poetry - Urdu Romantic Poetry - Urdu Love Poem



Dete hai kyu yeh dard bas hami ko,
kya samjhenge woh in aankho ki nami ko,
Lakho deewane ho jis chand ke,
woh kya mehsus karenge ek tare ki kami ko.

Monday, May 5, 2008

Urdu Poetry Wallpapers - Urdu Poetry - Romantic Urdu Poetry

Urdu Poetry Wallpapers - Urdu Poetry - Romantic Urdu Poetry



Romantic Urdu Poetry - Urdu Love Poetry - urdu poetry sms

Romantic Urdu Poetry - Urdu Love Poetry - Urdu Poetry SMS



Maine is taur se chaha tuje aksar jaana,
Jaise mehtaab* ko be anth samander chahe,
jaise suraj ki kiran seep ke dil me utre,
jaise khushbo ko hawa rang se hat kar chahe


Meanings*
Mehtab= Moon

Saturday, March 29, 2008

Urdu Poetry - Urdu Poem - Yad Rakhna

Urdu Poetry - Urdu Poem - Yad Rakhna



Kiya hai tum ne hum se Ek waada yaad rakhna
Bhool na jaana kahin apna irada yaad rakhna

Ab na hamain rulana tum , ab na door jaana tum
Pehle hi seh chuke hain dukh itne ziyada yaad rakhna

Dil to na dukhao ge mujhay choor to na jao ge
Dil main hi base ho tum ab isse abaad rakhna

Tum jo choor jao ge hum to mar hi jayen ge
Tumhare dam se zindagi hai sirf itna yaad rakhna

Chahaton ki duniya main roshni tumhi se hai
Dil toor kar hamain choor kar kahin na jaana yaad rakhna

Urdu Poetry - Urdu Poem - Urdu Romantic Poetry

Urdu Poetry - Urdu Poem - Urdu Romantic Poetry


hawa ke jhonke ki tarah zindagi mein
chale aaye the tum
khushiyon ki saugaat aur pyaar ke rang
sang laaye the tum

ghum ke gumnaam andhere mein
roshni ban kar chhaaye the tum
chahat ka ehsaas liye sukoon ban kar
dil mein samaye the tum

khushiyon se rangeen thi duniya
har pal jo mere paas the tum
ghum ke badal gehre hain
jabse juda hue ho tum

kyun yahan bekas akeli hoon main
kyun wahan itne tanhaa ho tum
kyun toote sapne woh sare
kyun itni durr chale gaye ho tum

dil ki bebasi kaise kahun
aankhon se aansoo banke behte ho tum
tarasti hoon tere pyaar ko main
pal pal mujhe yaad aate ho tum

Urdu Poetry - Urdu Poem - Mirza Ghalib Poetry

Urdu Poetry - Urdu Poem - Mirza Ghalib Poetry



aa, ki meree jaan ko qaraar naheeN hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar naheeN hai

[ qaraar = rest/repose, bedaad = injustice ]

dete haiN jannat hayaat-e-dahar ke badle
nashsha ba_andaaza-e-KHummaar naheeN hai

[ hayaat = life, dahar = world, ba_andaaza = according to,
KHummaar = intoxication ]

giriya nikaale hai teree bazm se mujh ko
haay ! ki roone pe iKHtiyaar naheeN hai

[ giriya = weeping, iKHtiyaar = control ]

hamse 'abas hai gumaan-e-ranjish-e-KHaatir
KHaak meiN ushshaaq kee GHubaar naheeN hai

[ 'abas = indifferent, gumaan = suspicion, ranjish = unpleasantness,
KHaak = ashes/dust, ushshaaq = lovers, GHubaar = clouds of dust ]

dil se uThaa lutf-e-jalva haay ma'anee
GHair-e-gul aainaa-e-bahaar naheeN hai

[ ma'anee = meanings, GHair-e-gul = blossoms ]

qatl ka mere kiya hai 'ahad to baare
waae ! akhar 'ahad ustuwaar naheeN hai

[ 'ahad = promise, baare = at last, ustuwaar = frim/determined ]

toone qasam mai_kashee kee khaaee hai 'GHalib'
teree qasam ka kuchch 'eitbaar naheeN hai !

[ mai_kashee = boozing, 'eitbaar = trust/faith ]