Saturday, September 10, 2011

Urdu Poetry In English

Urdu Poetry In English


Urdu Poetry in English means Urdu Nazm ya ghazals Which is written in English Words And Letters.

So peshe Kidmat hain ye ek poetry jo mere dil ke bahut karib hai. Maine hi likhi hain. bhul chook maff kijiye aur hu sake tu kuch rehnumiyi bhi kijiye.


kehne ko tu subah bhi hoti hain, Sham bhi hoti hain.
Hote Hote issi Tarah umar Tammam bhi hoti hain.

Jab bhi dekhta hun main aiana Ghar paar.
Dil main najane kyon ek Khuljan bhi hoti hain.

Jab peeta hun main Cigarette aur udta hun dhowan.
dimag tu sukun paata hain, zindagi heran bhi hoti hain.

Lagta hain utt chuka mera dana pani yahan se.
Jee kar bhi sansen kya jaam bhi hoti hain.

Kyon dhodh raha usse jo mil hi nahi sakta tujhe.
Nahi tu main keh deta "manzilen asan bhi hoti hain".


Agar Pasad aya hu tu dad dijeye ga. Adab arz hain,

--
Faqt S.S. Shah

1 comment:

sawan said...

It seems to be very interesting blog,
Nice to find it on google.